agar unse mile na hote to shayad zindgi asaan hoti
na palke band karne par ansso tapakte,
aur na ankhein kholne par unke didar ko dil tadapta..
Na sadak par karne ke waqt ek haath chahiye hota,
aur na dua mein sirf ek hi naam nikalta..
Na hum sirf usi ki khushi mein muskurate,
aur na unke naraaz hone par dukhi hote..
Na unke na hone pe, khud ko tanha paate,
aur na unki ek jhalak par khushi se jhoom jaate..
Na baarish ke baad mitti ki khushboo mein unka ehsaas paate,
aur na bhari dhoop mein unki baahon ki thandi chaaon ko yaad karte..
Na chaand se unka haal-chaal puchte,
aur na suraj ko unko chaaon dene ki guzaarish karte..
Na ye dua karte ki unki zindgi kabhi bhi gamgeen na ho,
aur na ye kehte ki agar kabhi gam aaye to kamsekam unki zindgi hamare pyaar mein leen ho!!!!