Monday, September 23, 2013

kehne ko fasane the, par lafz saath chhod gaye
aankho mein bhavnao ke samandar the, par wo bhi ansoo ban kar beh gaye
kahe to kahe bhi kya...
hoto ki zubaan ankho ne byaan karni thi
par ankhon par bhi andhere ke parde dhal gaye!!!


zindgi

Kuch khatte meethe ehsaaaso se bani ye zindgi
har dhadkan pe zinda hoti ye zindgi

Kabhi to kisi apne ke diye dard se bikhar jaati
ya kabhi us khuda ki khudai pe sanwar jaati

Guzarti hai jaise ek khamosh nehar si zindgi
par hai to ek jhoomti bahar si zindgi

koyle ki kaalakh ko mita kar hira banti hai ye zindgi
kyunki har shaam ke baad subah dekhti hai ye zindgi

yun hi jhar-jhar behti hai zindgi
khamosh reh kar bhi bahut kuch kehti hai zindgi!!